Zindagi Ek Kiraye Ka Ghar Hai Qawwali Lyrics

Zindagi ek kiraye ka ghar hai Ek na ek din badalna padega
Maut Jab Tujko aavaz degi Ghar se baahar nikalna padega


Ruth jayengi jab Tujse khushiyan Gham ke dhanche pe dhalna padega
Wakt aesa bhi aaega nadaan Tujko kanton pe chalna padega


Itna maazur ho jaega Tu Itna majboor ho jaega Tu
Ye jo makhmal ka chola hai Tera Ye kafan me badalna padega


Kar le Imaan se dil ki safai Chhod de chhod de Tu burai 
Wakt baki hai ab bhi sambhal ja Warna dozakh mein jalna padega


Aesi ho jaegi Teri haalat Kaam aaegi dolat na takat
Chhod kar Apni unchi haweli Tujko bahar nikalna padega


Jalwa e husn bhi ja baja hai Aur khatra to bhi hai ziyada
Zindagani ka ye raasta hai Har kadam par sambhal na padega


Baap bete ye bhai bhatije Tere sathi hai ye jite jite
Apne angan se uthna padega Apni chokhat se talna padega


Hai bahot hi buri chiz duniya Kyu samajta hai duniya ko apna
Baaz aa ja gunahon se warna Umar bhar Hath malna padega


Pyar se sabko apna banale Jis kadar Ho sake tu dua le
Mat laga aag nafrat ki nadaa Warna Tujko bhi jalna padega


Baal se bhi barik hai rasta Aur Talvar se bhi tez tar hai
Uspe gathdi gunahon ki lekar Hashr mein Tujko chalna padega


Gham ke maron ki halat pe nadaan Has raha hai magar yaad rakhle
Ashk ban ban ke ankhon se Apni Ek Din Tujko dhalna padega


Kabr mein jis gadi jaaega Tu Nekiyan kaam aaengi Tere
Baaz aaja gunahon se warna Hashr tak hath malna padega


Chahta hai agar surkh rooi Chahta hai agar nek naami
Ye adaa chhodni hogi Tujko Is chalan ko badalna padega


Hai agar Tujko insan ban na To yakasar Meri baat sun le
Chhodni hogi har ek burai Khwaahishon ko kuchalna padega


Zindagi ek kiraye ka ghar hai Ek na ek din badalna padega
Maut jab Tujko avaz degi Ghar se bahar nikalna padega


zindagi ek kiraye ka ghar hai lyrics in urdu | zindagi ek kiraye ka ghar hai song | zindagi ek kiraye ka ghar hai song download | जिंदगी एक किराए का घर है अंकुल शास्त्री | zindagi ek kiraye ka ghar hai mp3 song downloadming | zindagi ek kiraye ka ghar hai lyrics in english | zindagi ek kiraye ka ghar hai song download mp3 mr jatt 

Comments

Popular posts from this blog

Zaeere Tayba Roze Pe Jaa Kar Lyrics